Ticker

6/recent/ticker-posts

Ad Code

Shiksha Mitra masle ka Antim Fesla Supreme Court se heee hoga, chahe koee bhee party haare ya jeete par vo supreme court jayegee

Shiksha Mitra masle ka Antim Fesla Supreme Court se heee hoga,  chahe koee bhee party haare ya jeete par vo supreme court jayegee
Shiksha Mitra masle ka Antim Fesla Supreme Court se heee hoga, 
Antim fesle mein niyamanusaar shiksha mitra bahut kamjor hain, kyunki shiksha ke adhikar kanoon mein jo pravdhan hain,  usme shiksha mitra kahin nahin thehrte. 
Supreme court ke fesle ka asar sabhee rajyon par padta hai aur niymo ka paalan kadayee se hota hai. 

Urdu shikshko ko to TET kara kar niyukt kiya halanki is bhrtee ko niymo par jyada chunotee bhee nahin milee. 

Jyada se jyada ye ho sakta hai ki shiksha mitra va sarkar ko thoda aur samay mil jaaye, 
Par supreme court mein bhee ye maamla pahunchne par jyada deree ki sambhavna nahin. 
High court ne to date par date bahut dee,  lekin supreme court men aisa sambhav nahin,  jaisa ki supreme court ke shuruaatee rukh ko dekh kar spasht hota hai. 

On the spot hee stay laga deeya,  jabki high court date date kheltee rahee. 

Uske baad supreme court mein se jyada review appeal bhee ho saktee hai,  par vo last chance rahegaa aur parinam wahee rahegaaa. 

Iske baad shiksha mitron ke bhavishya ka kya hoga,  ye ek gambheer prashn hai

Dusree taraf TET PASS BEROJGAR LOGO KO INSAAF KYUN NAHIN DEEYA,  YE BHEE EK BADA PRASHN HAI

 

सरकारी नौकरी - Army /Bank /CPSU /Defence /Faculty /Non-teaching /Police /PSC /Special recruitment drive /SSC /Stenographer /Teaching Jobs /Trainee / UPSC

Random Posts