Breaking Posts

Top Post Ad

EK JRT CANDIDATE KA 82 Ke vigyapan ka analysis : 72825 प्रशिक्षु शिक्षकों की भर्ती Latest News

82 Ke vigyapan ka analysis
a) NCTE ne apna jawab ye court mein lagaya ki kuch rajya 82 walon ka pass mante or kuch nahin mante..is par court ne UP rajya sarkar se jawab manga tha..or wo jawab
UP Govt ne G.O no. 1682/79-5-2015-1(4) 17th June 2015 mein lagya ki NCTE ne 82 marks walon ko 2012 se pas mana hai or 2013 writA( 383 & 37084) mein kud high court ne 82 walon ko eligible nahin mana that isliye kewal or kewal hum rajya sarkar ki taraf se 2013 82 walon ko
eligible mante hain..
b) Phir bhi TET 2011 82 marks wale high court jarur jayenge...or wo har jayenge..kyun ki unke jitne bhi order the wo interim order the or Govt ne 2013 walon ko eligible mana hai..
c) Hum kya karen..TET 2011 82 marks wale ka sath den..ya sarkar ka..ye facebook pe open nahin kia ja sakta..mere hisab se ..
d) Rahi bat sari seaton pe councilling ka wo kewal or kewal rikt padon pe hona hai..agar govt ne chalaki dikhane ki koshish kari to hum court jayenge phir ek candidate bhi 82 marks wala select nahin hoga..
e) Isliye wait kijiye G.O ka..wo 14th August se pahle aa jayega..
f) Deepak sharma ke contempt ka last date hai 17th Aug, or govt ko 12 Aug ko yad aa raha hai JRT vacancy ka..is se pata chalta hai ki govt is bharti mein kitni interested hai..
g) sare log unity banaye rakhiye..JRT morcha ko majboot banaiye..or sangharsh jari rakhiye..
i) Ye vigyapan pahle bhi nikal sakta tha..par govt ko delay karna or wo bhi jan bhujkar..is bar High court ke judge sahab ko letter bhejen or wo bhi 17th Aug se pahle..ki humari bharti ko jan bhughkar delya kia ja raha hai

सरकारी नौकरी - Government of India Jobs Originally published for http://e-sarkarinaukriblog.blogspot.com/ Submit & verify Email for Latest Free Jobs Alerts Subscribe सरकारी नौकरी - Government Jobs - Current Opening All Exams Preparations , Strategy , Books , Witten test , Interview , How to Prepare & other details

Facebook