Breaking Posts

Top Post Ad

PRT , JRT mein jinhe confusion hai unke liye : 72825 प्रशिक्षु शिक्षकों की भर्ती Latest News

Comman sense hai prt sc ne khud karayi hai. Prt ke liye gov ne 12 amend kiya tha. Tet 11 competetive exam ki tarah tha. Baad mei sp gov ne 12 amend radd kiya. aur 15 amend par karna chaha. Hc ne 12 sahi mana. 15 ultravires. Sc ne bhi 12 sahi mana aur 15 ultravires. Phir sc ne khud prt ko
12 par jaldi se jaldi poora karne ka order diya. Ab sc mei bas aage ki bhartiyu ke liye base par behas honi hai.
Ab jrt ki baat. Hc ne 15 ko ultra-vires kaha. Sc ne bhi 15 ko ultravires kaha. Phir dubara hc (sudir agarwal ji) ne 15, 16 dono ko ultravires kaha. Jrt mei np ka order lene ke liye ish baat ko chupaya gaya. Phir abhi haal ki sunvai mei yeh baat khuli to judge ne vo order dekhne ke liye mangaya hai. Aur abhi sc baki hai hi.
Tau conclusion yeh hai ki prt tau safe hai. Jrt ke NP within a fort-night or a month cancel ho sakte hai. Achcha hota ki 2 nov tak sc case ka wait kiya hota.
Agar koi law constitution ke ultra-vires hota hai tau vo sabke liye ultra-vires hota hai. Kissi ek bharti ke liye utra-vires na hokar sabhi bhartiyu ke liye hota hai aur aise mei mool vigyapan bhi change ya radd ho sakta hai. Unconstitutional aur ultra-vires radd niyam par koi bharti nahi ho sakti hai.
Note - Tet weightage compulsory hai. Ncte niyam
dhyan se pade. Mei advocate hu ishliye kabhi kabhi barikiyu ko samajta hu. Waha 2 point hai. pehle
point mei likha hai tet weightage "should" bhi
given. Yaha should compulsory ko denote karta hai. Law mei ek niyam hota hai harmonious interpretation ka. Agla point optional hai tau ushme "may" likha hai. Atah harmonious interpretation ke according (dono points ko compare karne par) tet weightage compulsory hai. Ncte ne bhi compulsory mana hai.
Ish wakt graduate mei 40% hai tau tet 40% se jyada rahega.

सरकारी नौकरी - Army /Bank /CPSU /Defence /Faculty /Non-teaching /Police /PSC /Special recruitment drive /SSC /Stenographer /Teaching Jobs /Trainee / UPSC

Facebook