Lucknow Meeting Update : 72825 Primary Teacher Latest News

Lucknow Meeting Update
Sathiyo 3/3/15 ko Baradari Park Lucknow ki meeting me pure UP k saikado tet qualified candidates dwara am saati se nimnlikhit nirnay liye gaye
1. SC me 25/2/15 k ghatnakram va nirnay par gahan charcha hui
25/2/15 se abhi tak lagatar gayab va janboojhkar bhumigat rahkar berojgaro ko lutnewale netaon ki ninda ki gai
Meeting me aye Kavya Prakash Sharma dwara apne account ka pura vyora rakha gaya jise puri tarah pardarshi mana gaya Kavyaji ki mehnat va imandari ki prashansha ki gayi.
2. Nitesh Tr va Alok Pandey dwara SC k pure ghaynakram ko sabke samne rakha gaya joki pramadik mana gaya.
3. SC k order 25/2/15 par chatcha k baad matra ek hi senior vakil sabhi tarikho par rakhkar prabhavi pairvi par sahmati bani.
4. 10/3/15 ko HC Lko mr sm case ko Arshad dwara final decide karaya jayega.
5. HC Alld me bed tetqualified ki taraf se sm case ki prabhavi pairvi R K Pandey Adv dwara karke use agle ek hafte me final decide karaya jayega.
6. Farjieade dhandhli k mudde ko bhi R K Pandey Adv dwara prabhavi tarike se taykal hal karaya jayega.
7. Political way par chalkar Arshad Ali Barabanki va Nitesh Tripathi any sathiyon
sahit poltical logo se varta karke sabhi k np ka rasta tay karayenge.
8. Abhi 10/3/15 ko sm matter hc lko va contempt case sc k result par agli meeting tatkal ahut ki jayegi jisme agli radniti tay hogi.
9. Contempt case ki sc wali file Kavya dwara sabke samne rakhi gayi jise puri tarah legal taur par sahi paya gaya bas 10/3/15 ko hi us par prabhavi pairvi ho.
10. Anya guton dwara unke account me bache dhan ko kavya k account me transfer kiya jayega.
11. SC me pairvi hetu Senior Lawyet Jayantji par aam sahmati h.
12. Abhi tak gayab netao k khilaf ninda prastav parit kiya gaya.
13. Pahle 97/105 va phir sabhi ka samayojan par sahmati bani.
14. UP primary k rikt pado ka mudda court va political forum par rakha jayega.
15. Sabka sath sabka vokas k tahat is meeting me upasthit members paropkar ki bhavna se berojgaron k hit me swaysevak ki bhanti kaam karke sabka samayojan karayenge.


सरकारी नौकरी - Government of India Jobs Originally published for http://e-sarkarinaukriblog.blogspot.com/ Submit & verify Email for Latest Free Jobs Alerts Subscribe