Ticker

6/recent/ticker-posts

Ad Code

Samachar Plus Par Shiksha Mitron ki Debate mein kya hua : 72825 प्रशिक्षु शिक्षकों की भर्ती Latest News

Amitabh Agnihotri ji ki Shaam 6 baje vaalee debate Dekhee , Usme -
Shiksha Mitron Ki Taraf se Sunil Bhadoria Kuch Bhee Nahin Bole.

Amitabh ji ne Unhe saaree kanunee bate batayee bhee ki Rajya Sarkar Ko Jo Fund RTE ke leeye aata hai, vo usko NCTE ke kanuno ke Teaht Banne Vale Shikshkon Par Hee Vyay Kar Saktee hai.

Lekin Agar Sarkar Shiksha Miron ki Vastvik Madad Karna Chahatee Hai to Rahya Sarkar Apne Paas Ke Fund se Shiksha Mitron ke Naye Pad Bana Kar Salary De Saktee Hai.
Yahee baat Congress ke pravakta ne bhee Bolee.

Fir Shiksha Miron ke Pravakta Sunil Bhadoria Se Poochaa Ki Aapko Is Sarkar se Kya Chahiye, Kyunki Kanunee Pravdhano ke Teht To Aapki Nokri bach Nahin Saktee.

Uske Baad Sunil Bhadoria ne Behad Hasyaspad Javaab Deeyaa -

Ham to Supreme Court Jayenge

Amitabh ji ne fir kaha ki aap Kanoon jaante hain ki nahin, Ye Sab Supreme court ke pratham drashtya stay dene ke baad hee to hua hai.
Achaa Ye Bataiye ki Aapko Sarkar se Kya madad Chahiye.

Sunil Bhadoriya ne Bola Kee Sarkar se  Supreme Court ki Ladayee Mein Sehyohg Chahiye. (Ek To Beech Beech mein aisa laga ki unko kuch samajh nahin aa raha, na theek se Bol Paa Rahe The)

******************
Spasht Roop se Kanunee Raste Band Hain , Shikhsa Mitron ke Sahayak Adhyapak Pad Ke Leeye. Ek Nahin Tamam Adcahne hain.
Supreme Court kya karegaa.
Vo To High Court ka bhee Pita ji hai.

Lekin Shiksha Mitra Pravakta Sunil  Bhadoria ji pooree debate mein chup chup najar aaye, Aisa laga ki Vhe Diva Swapn Mein Hain Ya Unhe Kuch Samjah Nahin aa Raha 


सरकारी नौकरी - Army /Bank /CPSU /Defence /Faculty /Non-teaching /Police /PSC /Special recruitment drive /SSC /Stenographer /Teaching Jobs /Trainee / UPSC

latest updates

latest updates

Random Posts