latest updates

latest updates

सुप्रीम कोर्ट में महा मुकाबला में किस के पक्ष में क्या है बातें, निस्पक्ष और सटीक आकलन - शिक्षा मित्र , अचयनित टेट, अकादमिक वर्सस टेट मेरिट धारी

सुप्रीम कोर्ट में महा मुकाबला में किस के पक्ष में क्या है बातें, निस्पक्ष और सटीक आकलन - शिक्षा मित्र , अचयनित टेट, अकादमिक वर्सस टेट मेरिट धारी  - टेट मेरिट, वेटेज वालों की तरफ से हैं ये बिंदु :-
1. NCTE GUIDELINES NE KAHA HAI -
A.  TET MARKS KA SELECTION MEI WEIGHTAGE DENA CHAHIYE
B. TET EXAM MEI DOBARA EXAM DE KAR MARKS BADAYE JA SAKTE HAIN.
C. ALLAHABAD HIGH COURT BENCHNE UP GOVT. KE 15TH, 16TH AMENMENT KO NIYAM SANGAT NA PAATE HUE RADD KAR  DIYA HAI
D.72825 TECHER RECTT , JO KI TET MERIT SE THA AUR ADVT. KE ANUSAR THEE KO HIGH COURT NE ALLOW KAR DEEYA AUR BHRTIYON HO CHUKEE, KO TET MERIT DHAREE POORNTA AB APNE PAKSH MEI BATA CHUKE HAIN

ACAD MERIT BHRTEE VAALON KA KYA KEHNA HAI :-
1. ACAD MERIT SE BTC VAALON KI BHRTIYON HO CHUKI HAI, AUR 29334 JRT BHRTIYON BHEE, LEKIN TET MERIT DHAREEYON NE JRT KI BAGER TET WTZ SE BHRTEE KO ASAMVEDHANIK KARAR DENE KI POOREE KOSISH KAR DEE HAI, USKE JAVAB MEI JRT KA PAKSH -
A. VIGYAPAN SARKAR NE NIKALA, AUR KHEL KE NIYAM BEECH MEI NAHIN BADLE JAA SAKTE
B. TET EK PATRTA PARIKSHA HAI AUR NVS, KVS,DSSSB ITYADI KI TARJ PAR HEE 29334 JRT BHRTEEYAN HUEE HAIN
C. JRT VAALON KO HIGH COURT MEIN PAKSHA RAKHNE KA MOKA NAHIN MILA THA JABKI 15TH, 16TH AMENMENT RADD HUE THE.
C. 72825 ACAD MERIT BHRTEE MORCHA BHEE APNI BHRTEE CHAHATA HAI, AUR DONO 72825 ACAD AUR 29334 JRT ACAD VAALE KEHTE HAIN KI 72825 TET MERIT BHRTEE BASIC SHIKSHA NIYAMAVALEE KE PRAVDHANO KE ANUROOP NAHIN HAI. VIGYAPAN SACHIV NE NIKALA, JABKI NIYUKTI PRADHIKARI BSA HAI ETC. MAAMLE PEHLE BHEE HUE.
D. ALAG ALAG TET , CTET EXAM KI TULNA KAISE SABHAV HAI, KISEE NE UPTET 2011 NAHIN DEYA AUR CTET SE PASS HUA HAI, KYA UNKI COMBINED MERIT SAMANTA KE NIYAM KA PAALAN KAREGEE ITYADI.

SHIKSHA MITRON KE VIRUDD ACHAYNIT TET DHAREEYON KA KYA KEHNA HAI -
1. SM SAMAYOJAN MEI AARAKSHAN KE NIYAM KA PAALAN NAHIN HUA
2. SM SAMVIDA KARMEE HAIN, AUR YE APNE JOINING KE SAMAY GHOSHIT KAR CHUKE HAI, KI VE APNE KO NIYAMIT SHIKSHAK NAHIN MANENGE AUR 11 MAHINE KE CONTRACT PAR KAAM KARENGE.
3. SM NIYUKTI PANCHAYAT STAR PAR HUEE, JABKI SAMAYOJAN BSA DWARA, JAB VO PEHLE SE NIYUKT HAIN TO SAMAYOJAN KI JAROORAT KYON.
4. SM KI DURASTH BTC TRAINING NIYAM CHIPA KAR KI GAYEE KI INKA SKILL DEVELOP KARNA HAI, AUR VIRODHEE KEHTE HAIN KI SKILL DEV. KI AAD MEIN AB NIYUKTI KAISE
5. SABSE BADA MUDDA KI SM KA SAMAYOJAN WITHOUT TET KAISE, MATLAB AGAR YE 2010 KE BAAD NIYUKT HUE, TO BAGER TET KAISE.
JABKI KISEE BHEE RAJYA ME PARA TEACHERS KI NIYUKTI BAGER TET KE ALOOW NAHIN KI GAYEE HAI.
QUALITY TEACHERS KE LIYE NCTE GUNVATTA SE SAMJHOTA NA KARTE HUE TET KO INTRODUCE KIYA, JIS SE KI RTE KA PALAN SAHEE SE HO, AUR AYOGYA TEACHERS SE CHUTKARA MILE

SHIKSHA MITRON KA KYA KEHNA HAI :-
1. VE 2010 SE PEHLE SE TEACHER HAIN, AUR TET UN PAR LAGU NAHIN HOTA.
RTE ACT 2010 MEI AAYA HAI
2.VE KAYEE SAALON KA EXPERIENCE RAKHTE HAIN,
AUR UNKI NIYUKTI SARKAR DWARA KI GAYEE HAI
3. SARKAR DWARA UNHE 2 YEAR BTC KI TRAINING VIDHIVAT ROOP SE DE GAYEE, JISE AB HIGH COURT NE BHEE ALLOW KAR DEEYA HAI.
4.2011 TET KI VALIDITY 5 YEAR POORE HONE KE SAATH SAMAPT HO RAHEE HAI, AUR RTE ACT KE ANUSAAR YOGYA SHIKSHKON KI KAMEE DEKHTE HUE UNKO RAHAT MILNE KE POORE AASAAR HAIN
5. SUPREME COURT NE UNKA PAKSHA DEKHTE HUE HEE HC KE FESLE PAR UNKO STAY DEEYA HAI, AUR AAGE BHEE JEET UNKI HEE HOGEE
6. COURT UNKI ITNEE BADEE SANKHYA DEKHTE HUE DAYA KE AADHAR PAR BHEE RELAXATION DEKAR NIYUKTI JAAREE RAKH SAKTEE HAI

अंतिम रूप से सम्भावना ये दिख रही है कि 72825 टेट मेरिट भर्ती और अकादमिक से BTC, जूनियर भर्ती दोनों बचेंगी और नियमो की व्याख्या के साथ UP KI अन्य 4.86 लाख शिक्षकों की भर्ती जल्द करने की बात आ सकती है,
शिक्षा मित्रों को भी पूर्ण की जगह कुछ राहत मिल सकती है, शायद नयी भर्ती में एक्सपीरियंस के आधार पर कुछ अतिरिक्त वेटेज इत्यादि क्योंकि आरक्षण के नियम का पालन अमूमन सभी सरकारी भर्तीयों में जरूरी है तब तक शिक्षा मित्रों की नोकरी जारी रखने की बात आ सकती है या फिर वापस संविदा पर,
अचेनितों  के लिए समायोजन अगर नहीं होता है तो टेट वेलिडिटी 2-3 वर्ष अतिरिक्त बढ़ाकर नई भर्तियो में राहत देने की बात सामने आ सकती है।

अगर आपके कुछ विचार हों तो कृपया कमेंट के माध्यम से पाठकों को अवगत कराएं
sponsored links:
ख़बरें अब तक - 72825 प्रशिक्षु शिक्षकों की भर्ती - Today's Headlines

latest updates