GOLMAL HAI BHAI SAB GOLMAL HAI. Some imp. facts about 72825 Teacher recruitment

1. 4 saal intzar karne ke baad akhir kar supreme court ne recruitment pura karne ke liye order diya. wo bhi aisa order jisko samajane ke liye bade-2 vidhi ke gyataon ka sahara lena pada.

2. Supreme Court main government ke vakil ne 3 lakh vacant seats batate hue khud Govt. ko fasa diya.  Jin 3 lakh vacant seats ke bharose SP Govt. agli baar bhi chunav jeetane main lolipop deti ab uski stithi sahi nazar nhi aa rhi hai.

3. kuch din pehle govt. ne niyukti patra ki dates ka annoucment kar diya or uske baad hi 4th counselling ka vivadaspad GO bhi de diya. taaki candidates confuse rahe.

4. Aaj tak govt. ne koi bhi kaam theek samay per nhi kiya hai or na hi hoga, iska praman ye hai ki 4th counselling main bahut bheed hogi, counseling ke baad data collect hoga, fir feed hoga, fir kuch diets ncte ko send karenge or kuch nhi karenge, fir ncte unko remind karayega. uske baad final cut off list aayega,  jismain ki 1 month lagna tay hai

5. shiksha mitro ki seats ke baare main —  jab shiksha mitro ke samayojan ke liye SP Govt. sab kuch kar rhi hai to shiksha mitro ki seats ko 4th counseling main de kyun nhi deti.

6. Options for LOW Merit Candidates— UP main 3 lakh pad abhi rikth hai, ab low merit wale candidates ke pass ek hi option hai ki wo academic walo ke sath milkar shiksha mitro ke samayojan ke khilaf khade ho jaye. taaki unke jagah per sahi candidates  ko mauka mile. agar aisa nhi hota hai to ye govt. isi bharti main dono logo ko confuse karke shiksha mitro ko bharti kar degi.

7. About the Merit List— Kai district main gen. ki seats main shiksha mitro or special categories ko add kiya gaya hai. jab is bharti main unka quota or seats dono hi alag-2 hain to unko gen. main kyn add kiya gaya hai. or agr gen. main add karna hai to wo reserved candidate kaha se hue?

Please read and share your comments…………………………..

Pl keep Visit for all latest Updates. Following News You may also Like :



सरकारी नौकरी - Government of India Jobs Originally published for http://e-sarkarinaukriblog.blogspot.com/ Submit & verify Email for Latest Free Jobs Alerts Subscribe