Breaking Posts

Top Post Ad

02 Nov आर्डर के मुख्य पॉइंट : 72825 प्रशिक्षु शिक्षकों की भर्ती Latest News

आर्डर के मुख्य पॉइंट --
KYA HAI SUPREME COURT KE ORDER MEIN, JANIYE HINDI MEIN -
SUPREME COURT MEIN GAYA KI 43 HAZAR KE EXAM HO CHUKE HAIN, AUR DEE JA RAHEE HAI.

BATAYA
LAGBHAG 15 HAZAR CANDIDATES KA EXAM 16/17 NIV KO HONA HAI, AUR USKE BAAD UNKO NIYUKTI DE DEE JAAYEGEE. BAKI BACHE LOGO KI 6 MONTH KI TRAINING COMPLETE HONA BAKI HAI, USKE BAAD EXAM KARA KAR NIYUKTI DEE JAAYEGEE.
YACHEE KR ADVOCATE NE KAHA KI 70% SE OOPAR KE TAMAM CANDIDATES KO ABHEE TAK NIYUKTI NAHIN DEE GAYEE HAI.
TO SUPREME COURT NE INKA DATA ONLINE KARTE HUE 1 HAFTE KE ANDAR KARYVAHEE KARNE KO KAHA.
MATLAB CUTOFF ABHEE DOWN NAHIN KI JAAYEGEE, JAB TAK 90/105 VAALON SE SEATS POOREE TARH NAHIN BHAREE JAATEE.
ISKE BAAD SUPREME COURT NE KAHA KI HAMARE NIRDESH KE TEHT HIGHCOURT 12 SEPT KO SHILSHA MITRA MAAMLE PAR APNA NIRNAY DE CHUKEE HAI, AUR NIYUKTIYAN AVEDH GHOSHIT KAR CHUKEE HAI. SC NE KI ABHEE HAM IS MAAMLE MEIN JYADA KUCH NAHIN KAHENGE, KYUNKI SHIKSHA MITRA AUR TAMAM LOGO KI SPECIAL APPEALS SUPREME COURT MEIN DHAKHIL HO CHUKEE HAI, AUR IS PAR WAHIN SUNVAYEE HOGEE.
HIMANSHU RANA KE ADVOCATE ANAND NANDAN NE BATAYA KI UP SARKAR KE ANUSAAR 1 LAKH SE JYADA PRIMARY SCHOOLS UP MEIN HAIN, RTE ACT KE ANUPAT KE ANUSAAR 4 LAKH 86 HAZAR TEACHERS KI VACANCIES HOTEE. HAIN, JISME SE 1 LAKH 77 HAZAR TEACHER ABHEE UP GOVT MEIN KARYRAT HAIN.
SUPREME COURT NE AASCHARYA VYAKT KARTE HUE KAHA KI YE TO RTE ACT ARTICLE 21 A KA VIOLATION HAI.
UP SARKAR KE PAKSHA KA KEHNA THA KI SHIKSHKON KI ISEE KAMEE KO DOOOR KARNE KE LEEYE USNE 2011 MEIN SHIKSHA. MITRON KI TRAINING KI PERMISSION MANGEE THEE AUR SM KO NIYUKT KIYA THA.
AB YE SHIKSHA MITRA MAAMLA SPECIAL APPEAL MEIN SUNA JAAYEGAA.
ISKE BAAD ACADMIC MORCHA KE VAKEEL NE KAHA KI 72825 KEE ACAD SE BHEE BHRTEE HONEE THEE, LEKIN HIGH COURT DWARA 15VEN SANSODHAN KO AVEDH GHOSHIT KARNE KE KAARAN NAHIN HO SAKEE.
ISKO SUNNE KE BAAD SUPREME COURT NE 3 PRASHNO PAR JAVA MANGA HAI -
1. KYA NCTE KE RULE MAMANE AUR EK TARFA HAIN
2. KYA TET MARKS SE SELECTION SOLE CRITERIA OF SELECTION HO SAKTA HAI,
MATLAB KYA TET MARKS KI MERIT SE BHRTEE KI JA SAKTEE HAI.
3. KYA HIGHCOURT NE TET MARKS KE WEIGHTAGE KO DHYAN MEIN RAKHTE HUE 15 VAN SANSODHAN KO RADD KAR KE SAHEE KIYA HAI.
AUR IS SE JUDEE KUCH BATON PAR.
AUR AGLEE DATE 7 DECEMBET 2 BAJE LAGA DEE HAI, AGAR IS DIN SUNVAYEE NA HUEE TO 8 DECEMBER KO HOGEE.

ताज़ा खबरें - प्रशिक्षु शिक्षकों की भर्ती सरकारी नौकरी - Army /Bank /CPSU /Defence /Faculty /Non-teaching /Police /PSC /Special recruitment drive /SSC /Stenographer /Teaching Jobs /Trainee / UPSC

Facebook